mere KHuda kisi surat use mila mujh se
mere wajud ka hissa na rakh juda mujh se
wo na-samajh mujhe patthar samajh ke chhoD gaya
wo chahta to sitare tarashta mujh se
us ek KHat ne suKHnawar bana diya mujh ko
wo ek KHat ki jo likkha nahin gaya mujh se
use hi sath gawara na tha mera warna
kise majal koi us ko chhinta mujh se
abhi visal ke zaKHmon se KHun rista hai
abhi KHafa hai mohabbat ka dewta mujh se
hai aarzu ki palaT jaun aasman ki taraf
mizaj ahl-e-zamin ka nahin mila mujh se
KHata ke baad ajab kashmakash rahi 'shahid'
KHata se main raha sharminda aur KHata mujh se
Ghazal
Mere KHuda kisi surat use mila mujhse
Shahid Zaki