اردو हिंदी
Mere junun ko hawas mein shumar kar lega | Shaahi Shayari
mere junun ko hawas mein shumar kar lega

Ghazal

Mere junun ko hawas mein shumar kar lega

Anjum Khaleeq

;

mere junun ko hawas mein shumar kar lega
wo mere tir se mujh ko shikar kar lega

mujhe guman bhi nahin tha ki Dubta hua dil
muhit jism ko ek rose par kar lega

main us ki rah chalun bhi to faeda kya hai
wo koi aur rawish iKHtiyar kar lega

fasil-e-shahr mein rukne ki hi nahin ye KHabar
jo kaam hum se na hoga ghubar kar lega

wo gul-badan kabhi nikla jo sair-e-sahra ko
to apne sath hawa-e-bahaar kar lega

jahan pe baat faqat naqd-e-jaan se banti ho
wo KHush-kalam wahan bhi udhaar kar lega

hum aise log bahut KHush-guman hote hain
ye dil zarur tera e'tibar kar lega

khulega is pe hi 'anjum'-KHaliq bab-e-qubul
jo apna haqq-e-talab ustuwar kar lega