mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh
fitrat-e-ashiqi samajh qismat-e-ashiqi na dekh
aur nazar wasia kar pesh-e-nigah hi na dekh
maut mein DhunD zindagi zist mein nisti na dekh
jaise har ek nafas nafas nok-e-sinan liye hue
ishq ka KHwab dekh le ishq ki zindagi na dekh
main to sara-e-shauq mein dil ka kanwal jala chuka
ab ye teri KHushi ki tu dekh ki raushni na dekh
ek usul yaad rakh salik-e-rah-e-zindagi
naqsh-o-nigar-e-dahr dekh muD ke magar kabhi na dekh
apni nigah pher le han ye mujhe qubul hai
rakh meri aarzu ki sharm-e-shauq ki bebasi na dekh
tujh pe ayan hai raaz-e-dil jaan ke bin na be-KHabar
mani-e-KHamushi samajh surat-e-KHamushi na dekh
'mulla' ye kya laga liya dil ko hansi hansi mein rog
baat bata rahe the jo ho ke rahi wahi na dekh
Ghazal
Mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh
Anand Narayan Mulla