mere dil mein hijr ke bab hain tujhe ab talak wahi naz hai
jo ye ji hi lene pe hai nazar to qubul ho ye namaz hai
yahi khoj lene ke waste phirun hun main sath nasim ke
ki chaman mein koi hai gul kahin teri bu se mahram-e-raaz hai
koi aur qissa shurua kar jo tamam kah sake ham-nafas
ki fasana zulf-e-siyah ka shab-e-hijr se bhi daraaz hai
hui dil mein jab se hai shola-zan meri aatish-e-ishq ki har nafas
jo patang o shama mein dekhiye na wo soz hai na gudaz hai
ba-KHuda ki muddat-e-ishq mein yahi baat farz hai naseha
ki sanam ke naqsh-e-qadam siwa nahin sajda-gah-e-namaz hai
na barabar us ko bhi zahido gino apne kabe ki rah ke
rah-e-ishq mein jo qadam rakho to bahut nasheb-o-faraaz hai
koi shaghl us se nahin bhala ki 'muhib' ho ishq mein mubtala
usi rah-e-haq ka bane rahnuma yahi ishq agarche majaz hai

Ghazal
Mere dil mein hijr ke bab hain tujhe ab talak wahi naz hai
Waliullah Muhib