mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha
ki mera har-bun-e-mu ek ghaw aisa tha
bichhaDte waqt ajab uljhanon mein Dal gaya
wo ek shaKHs ki sidhe subhaw aisa tha
chali jo baat koi raat ke taaqub mein
to baat baat se nikli bahaw aisa tha
main pura pura rawana tha abjadon ki taraf
hisab-e-umr tera chal-chalaw aisa tha
gul-e-nashat ki KHushbu bhi bar thi mujh ko
mere mizaj mein gham ka rachaw aisa tha
kanar-e-lab mein na rahti thi mauj-e-goyai
tabiaton mein suKHan ka bahaw aisa tha
Thaharta kya meri KHakistari nigahon mein
tera wajud to raushan alaw aisa tha
nikal saki na koi bhi farar ki surat
sipah-e-zist ka mujh par paDaw aisa tha
na chah kar bhi use dil se chahte the hum
kisi ki lag mein 'tabish' lagaw aisa tha
Ghazal
Mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha
Abbas Tabish