mera qalam mere jazbaat mangne wale
mujhe na mang mera hath mangne wale
ye log kaise achanak amir ban baiThe
ye sab the bhik mere sath mangne wale
tamam ganw tere bholpan pe hansta hai
dhuen ke abr se barsat mangne wale
nahin hai sahl use kaT lena aankhon mein
kuchh aur mang meri raat mangne wale
kabhi basant mein pyasi jaDon ki chiKH bhi sun
luTe shajar se hare pat mangne wale
tu apne dasht mein pyasa mare to behtar hai
samundaron se inayat mangne wale
Ghazal
Mera qalam mere jazbaat mangne wale
Zafar Gorakhpuri