mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de
bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de
ye jo zaKHm-e-dil ko pakae hum liye phir rahe hain chhupae hum
koi na-shanas-e-mizaj-e-gham kahin hath us ko laga na de
tu jahan se aaj hai nukta-chin kabhi muddaton mein raha wahin
main gada-e-rahguzar nahin mujhe dur hi se sada na de
tab-o-tab-e-ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chashm-e-nam
zara dekhiyo ai hawa-e-gham ye charagh koi bujha na de
wo jo shairi ka sabab hua wo moamla bhi ajab hua
main ghazal sunaun hun is liye ki zamana us ko bhala na de
Ghazal
Mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de
Kaleem Aajiz