mera dil dekho ab ya mere dushman ka jigar dekho
tumhaare bas mein aankhen hain jidhar jao udhar dekho
qayamat mein na mere munh se phir fariyaad niklegi
agar ye kah diya us ne yahan aao idhar dekho
tumhaare nam par mar miTne wala kaun hai main hun
agar socho agar samjho agar mano agar dekho
mere dil ko chara kar phir churao aankh kya mani
nigah-e-qahr hi se tum mujhe dekho magar dekho
jo kahta hun fana ke baad sab ko chain milta hai
to wo kahte hain phir ab der kya tum bhi mar dekho
raqibon ko tum aankhen to dikhate ho sar-e-mahfil
kahin aisa na ho ban jae meri jaan par dekho
kisi ko dekh kar ai 'nuh' kaisi kuchh bani dil par
ye kis kam-baKHt ne tum se kaha tha tum idhar dekho
Ghazal
Mera dil dekho ab ya mere dushman ka jigar dekho
Nooh Narvi