اردو हिंदी
Har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka | Shaahi Shayari
har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

Ghazal

Har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

Mir Taqi Mir

;

har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka
TukDa mera jigar hai kaho sang saKHt ka

sabzan in ru ki jahan jalwa-gah thi
ab dekhiye to wan nahin saya daraKHt ka

jon barg-ha-e-lala pareshan ho gaya
mazkur kiya hai ab jigar laKHt laKHt ka

dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen
tha kal talak dimagh jinhen taj-o-taKHt ka

KHak-e-siyah se mein jo barabar hua hun 'mir'
saya paDa hai mujh pe kaso tira-baKHt ka