tegh-e-sitam se us ki mera sar juda hua
shukr KHuda ki haq mohabbat ada hua
qasid ko de ke KHat nahin kuchh bhejna zarur
jata hai ab to ji hi hamara chala hua
wo to nahin ki ashk thame hi na aankh se
nikle hai koi laKHt-e-dil ab sau jala hua
hairan rang bagh-e-jahan tha bahut ruka
taswir ki kali ki tarah dil na wa hua
aalam ki be-fizai se tang aa gae the hum
jaga se dil gaya jo hamara baja hua
dar pe hamare ji ke hua ghair ke liye
anjam-e-kar muddai ka muddaa hua
us ke gae pe dil ki KHarabi na pochhiye
jaise kaso ka koi nagar ho luTa hua
bad-tar hai zist marg se hijran-e-yar mein
bimar dil bhala na hua to bhala hua
kahta tha 'mir' haal to jab tak to tha bhala
kuchh zabt karte karte tera haal kya hua
Ghazal
Tegh-e-sitam se uski mera sar juda hua
Mir Taqi Mir