اردو हिंदी
Idhar se abr uTh kar jo gaya hai | Shaahi Shayari
idhar se abr uTh kar jo gaya hai

Ghazal

Idhar se abr uTh kar jo gaya hai

Mir Taqi Mir

;

idhar se abr uTh kar jo gaya hai
hamari KHak par bhi ro gaya hai

masaib aur the par dil ka jaana
ajab ek saneha sa ho gaya hai

muqamir-KHana-e-afaq wo hai
ki jo aaya hai yan kuchh kho gaya hai

kuchh aao zulf ke kuche mein darpesh
mizaj apna udhar ab to gaya hai

sirhane 'mir' ke koi na bolo
abhi Tuk rote rote so gaya hai