mushkil hai hona ru-kash ruKHsar ki jhalak ke
hum to bashar hain us ja par julte hain malak ke
marta hai kyun to nahaq yari briadri par
duniya ke sare nate hain jite-ji tilak ke
kahte hain gor mein bhi hain tin rose bhaari
jawen kidhar ilahi mare hue falak ke
late nahin nazar mein ghaltini guhar ko
hum mo'taqid hain apne aansu hi ki Dhalak ke
kal ek mizha nichoDe tufan nuh aaya
fikr-e-fishaar mein hun 'mir' aaj har palak ke
Ghazal
Mushkil hai hona ru-kash ruKHsar ki jhalak ke
Mir Taqi Mir