اردو हिंदी
Jahan ab Khaar zarin ho gai hain | Shaahi Shayari
jahan ab Khaar zarin ho gai hain

Ghazal

Jahan ab Khaar zarin ho gai hain

Mir Taqi Mir

;

jahan ab KHar zarin ho gai hain
yahin aage bahaaren ho gai hain

junun mein KHushk ho rag-ha-e-gardan
gareban ki si taren ho gai hain

suna jata hai shahr-e-ishq ke gard
mazaren hi mazaren ho gai hain

isi darya-e-KHubi ka hai ye shauq
ki maujen sab kanaren ho gai hain

unhin galiyon mein jab rote the hum 'mir'
kai dariya ki dhaaren ho gai hain