minnaton se bhi na wo hur-shamail aaya
kis jagah aankh laDi hae kahan dil aaya
hum na kahte the na kar ishq pashiman hoga
jo kiya tu ne wo aage tere ai dil aaya
qahqahe qulqul-e-mina ne lagae kya kya
mujh ko masti mein jo rona sar-e-mahfil aaya
qatl ki sun ke KHabar id manai main ne
aaj jis se mujhe milna tha gale mil aaya
ta dam-e-marg na ho wo mere dushman ko nasib
jo maza mujh ko ilahi dam-e-bismil aaya
marqad-e-qais par ab tak bhi to KHar-e-sahra
ungliyon se ye batate hain wo mahmil aaya
ganj-e-qarun ke siwa bhi hai adam mein sab kuchh
hae duniya mein na is mulk ka hasil aaya
jis ne kuchh hosh sambhaala wo jawan qatl hua
ahd-e-piri na tere ahd mein qatil aaya
din o duniya se gaya to ye samajh le ai 'dagh'
ghazab aaya agar us but pe tera dil aaya
Ghazal
Minnaton se bhi na wo hur-shamail aaya
Dagh Dehlvi