milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur
manzil ke qarib aa ke bahakte hain qadam aur
mare hue hain kashmakash-e-wahm-o-yaqin ke
TuTe hue har but se tarashe hain sanam aur
ye baat samajhte hi nahin hazrat-e-naseh
silta hai agar chaak to khulta hai bharam aur
tadbir ka har naqsh dil-awez hai lekin
hai katib-e-taqdir ka andaz-e-raqam aur
jazbaat pe mohren na lagi hain na lagengi
hoti hai zaban band to chalta hai qalam aur
shayad ye sila tark-e-talab ka hai 'faridi'
baDhti hi gai wusat-e-daman-karam aur
Ghazal
Milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur
Moghisuddin Fareedi