اردو हिंदी
Mile to kash mera hath tham kar le jae | Shaahi Shayari
mile to kash mera hath tham kar le jae

Ghazal

Mile to kash mera hath tham kar le jae

Liyaqat Ali Aasim

;

mile to kash mera hath tham kar le jae
wo apne ghar na sahi mujh ko mere ghar le jae

butan-e-shahr tumhaare larazte hathon mein
koi to sang ho aisa ki mera sar le jae

diya karunga yunhi tere nam ki dastak
mera nasib mujhe lakh dar-ba-dar le jae

wo aadmi ho ki KHushbu bahut hi ruswa hai
hawa-e-shahr jise apne dosh par le jae

mere qarib se guzre to ahl-e-dil bole
uTha ke kaun parinda lahu mein tar le jae

palaT ke aae to shayad na kuchh dikhai de
wo ja raha hai to 'asim' meri nazar le jae