mila hai tapta sahra dekhne ko
chale the ghar se dariya dekhne ko
chalo apna hi manzar aap dekhen
kahan jaen tamasha dekhne ko
sar-e-maqtal kise laya gaya hai
chali aati hai duniya dekhne ko
fasurda phul uDte zard patte
chaman mein rah gaya kya dekhne ko
mili hai muKHtasar si fursat-e-did
tamasha-gah-e-duniya dekhne ko
charagh-e-rahguzar jugnu sitara
kiran koi to rasta dekhne ko
phire hain anjuman-dar-anjuman hum
use jalwa-ba-jalwa dekhne ko

Ghazal
Mila hai tapta sahra dekhne ko
Yazdani Jalandhari