اردو हिंदी
Mir ki sadgi bayan mein rakh | Shaahi Shayari
mir ki sadgi bayan mein rakh

Ghazal

Mir ki sadgi bayan mein rakh

Rahmat Amrohvi

;

'mir' ki sadgi bayan mein rakh
'dagh' ki dil-kashi zaban mein rakh

dusron ko bhi raushni pahunche
yun diya ghar ke darmiyan mein rakh

amn aur sulh-o-ashti kya hai
ye sawalat imtihan mein rakh

apne purkhon ke karnamon ke
kuchh hawale bhi dastan mein rakh

nekiyan ab na Dal dariya mein
hum faqiron ki baat dhyan mein rakh

dhup hi ab tujhe jagaegi
koi khiDki khuli makan mein rakh