mir-e-mahfil na hue garmi-e-mahfil to hue
shama-e-taban na sahi jalta hua dil to hue
na sahi KHak ke putlon mein sifat-e-malaki
bare is bar-e-wafa ke mutahammil to hue
hausle dil ke mohabbat mein jo piste hi rahe
kar ke himmat tere ghamzon ke muqabil to hue
purshis-e-gham-zadagan bahr-e-tafannun hi sahi
KHair se aap bhi is bazm mein shamil to hue
be-asar aah se bhi itni tasalli hai zarur
munh taka karte the jo wo kisi qabil to hue
aan rakh li teri shamshir-e-ada ki yun bhi
jin ko marna nahin aata tha wo bismil to hue
sanad-e-sabr sahi pak dilon ke nasur
aise maqtul bhi ek tarah ke qatil to hue
rashk-e-dushman ki talafi ko ye pahlu nahin kam
gham-e-jaan-kah-e-mohabbat ke wo qatil to hue
KHud se dukh mol len ye kaam kuchh aasan na tha
kha ke ek choT maze dard ke hasil to hue
KHud-kushi mein to KHalal 'arzu' aaya lekin
hath un ke meri gardan mein hamail to hue
Ghazal
Mir-e-mahfil na hue garmi-e-mahfil to hue
Arzoo Lakhnavi