اردو हिंदी
Mezon pe saja ke ayagh dharo | Shaahi Shayari
mezon pe saja ke ayagh dharo

Ghazal

Mezon pe saja ke ayagh dharo

Shariq Adeel

;

mezon pe saja ke ayagh dharo
ab daman daman dagh dharo

ham-sayon ke ghar hain chhappar ke
la kar na hawa mein charagh dharo

aakash ko ek din chhu lega
us sar mein mera dimagh dharo

beganon ki hai ye basti
manzil ke yahan na suragh dharo

achchha nahin dil ka kora-pan
is banjar mein ek bagh dharo