meri tanhai ke ejaz mein shamil hai wahi
raqs mein hai dil-e-diwana ki mahfil hai wahi
ye alag baat na wo tamkanat-ara hai na main
hai chaman bhi wahi aur shor-e-anadil hai wahi
wahi laila-e-suKHan ab bhi sarapa-e-tilism
meri jaan ab bhi wahi hai ki mera dil hai wahi
dasht-e-hairat mein wahi mera junun mahw-e-KHiram
aa ke dekho ki yahan garmi-e-mahfil hai wahi
us mein jo Dub gaya par utar jaega
mauj-dar-mauj wo dariya hai to sahil hai wahi
aaj bhi us ke mere bich hai duniya hail
aaj bhi us ke mere bich ki mushkil hai wahi
Ghazal
Meri tanhai ke ejaz mein shamil hai wahi
Ain Tabish