meri iza mein KHushi jab aap ki pate hain log
to mujhe kis kis tarah se aa ke dhamkate hain log
hath kya aata hai un ke kuchh nahin malum kyun
mujh ko tum se aur tum ko mujh se chhuDwate hain log
ek to kuchh ji hi ji mein ruk rahe hain mujh se wo
dusre ja ja ke un ko aur bhaDkate hain log
mere un ke sulh az-bas KHalq ko hai nagawar
wo to hain kuchh sard lekin un ko garmate hain log
raat aur din soch rahta yahi 'rangin' mujhe
main to sab se rast hun kyun mujh se bal khate hain log
Ghazal
Meri iza mein KHushi jab aap ki pate hain log
Rangin Saadat Yaar Khan