meri duniya mein abhi raqs-e-sharar hota hai
jo bhi hota hai ba-andaz-e-digar hota hai
bhul jate hain tere chahne wale tujh ko
is qadar saKHt ye hasti ka safar hota hai
ab na wo josh-e-wafa hai na wo andaz-e-talab
ab bhi lekin tere kuche se guzar hota hai
dil mein arman the kya ahd-e-bahaaran ke liye
chaak-e-gul dekh ke ab chaak-e-jigar hota hai
hum to hanste bhi hain ji jaan se jaane ke liye
tum jo rote ho to aansu bhi guhar hota hai
sainkaDon zaKHm use milte hain is duniya se
koi dil tera talabgar agar hota hai
qafila luTta hai jis waqt sar-e-rahguzar
us ghaDi qafila-salar kidhar hota hai
'anjum'-e-soKHta-jaan ko hai KHushi ki ummid
raat mein jaise kabhi rang-e-sahar hota hai
Ghazal
Meri duniya mein abhi raqs-e-sharar hota hai
Anjum Azmi