mere KHaton ko jalane se kuchh nahin hoga
hawa mein rakh uDane se kuchh nahin hoga
samajhne wale to dil ki zaban samajhte hain
mohabbaton ko jatane se kuchh nahin hoga
sitam-zarifi rahi waqt ki jo dil TuTa
kisi pe dosh lagane se kuchh nahin hoga
nai uDan ki KHatir paron ko tol zara
qafas mein shor machane se kuchh nahin hoga
koi to tir nishane pe Thik se pahunche
hawa mein tir chalane se kuchh nahin hoga
nae gulon ko khilao dil-e-zamin pe tum
dil ye kabab banane se kuchh nahin hoga
nai umid nae raste talash karo
hamesha marsiya gane se kuchh nahin hoga
badan se ruh nikal bhi chuki hai ab hamdam
fuzul ashk bahane se kuchh nahin hoga
zaban se baat kai sach nikal gai ho gar
bahane lakh banane se kuchh nahin hoga
tumhaare jaane se patthar mein Dhal chuki 'sima'
tumhaare lauT ke aane se kuchh nahin hoga
Ghazal
Mere KHaton ko jalane se kuchh nahin hoga
Seema Sharma Meeruthi