mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras
jaane kis ism pe khulta hai ye dar ab ke baras
kuchh to bhugta gae na-karda gunahon ki saza
zad pe aandhi ke hain kuchh aur shajar ab ke baras
raqs aaseb ka jari hai mere shahron mein
kis ko darkar hai kis shaKHs ka sar ab ke baras
ji jalaega ye aawara o be-dar hona
dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras
teri ulfat teri chahat teri shafqat ke tufail
kitna barsega mera dida-e-tar ab ke baras
mujh ko chhu mere shab-o-roz ko raushan kar de
mere aangan mein bhi pal bhar ko Thahar ab ke baras
tu ne har bar bahut KHud ko bigaDa 'arshi'
meri gar man to ji bhar ke sanwar ab ke baras
Ghazal
Mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras
Irshad Arshii