mere ghurbat ke dinon mein hausla de jaega
dost mere tu KHushi ki ek sada de jaega
jab kisi ki aankh ka aansu ho jama sukh kar
dekhna tum ye hi aansu zalzala de jaega
dhaDkanon mein hai basaya tu ne jis ko raat din
jaane kis din tujh ko wo dilbar jafa de jaega
zaKHm sare bhar main dunga yun kaha us ne kabhi
kya KHabar thi zahr mein Dubi hawa de jaega

Ghazal
Mere ghurbat ke dinon mein hausla de jaega
Kirti Ratan Singh