mere dil mein ghar bhi banata rahta hai
aur dil par nashtar bhi chalata rahta hai
dushman ki baaton mein aa kar bhai mera
sab se jaane kya kya kahta rahta hai
deta hai paigham-e-mohabbat duniya ko
KHud nafrat ki aag lagata rahta hai
bhai mera jo paikar tha hamdardi ka
rah mein meri KHar bichhata rahta hai
gum-sum us ki yaad mein rahta hai aksar
aankhon se wo ashk bahata rahta hai
wo to KHud ek pyasa hai shahid 'ghazi'
phir bhi sab ki pyas bujhata rahta hai

Ghazal
Mere dil mein ghar bhi banata rahta hai
Shahid Ghazi