mere arman wo sudhaare yun ke yunhin rah gae
hausle sare ke sare yun ke yunhin rah gae
jo dua mangi wo phir wapas na aai hijr mein
hath hum apne pasare yun ke yunhin rah gae
jaan lene ka to wada aaj pura ho gaya
aur sab wade tumhaare yun ke yunhin rah gae
waqt-e-zinat sun ke wo meri pareshani ka haal
apne gesu be-sanware yun ke yunhin rah gae
de ke dil un ko na dekha aur ko 'muztar' kabhi
sab hasin joban ubhaare yun ke yunhin rah gae

Ghazal
Mere arman wo sudhaare yun ke yunhin rah gae
Muztar Khairabadi