mera dil-e-nashad jo nashad rahega
aalam dil-e-barbaad ka barbaad rahega
ta-der jo hangama-e-fariyaad rahega
shak hai ki kahin aalam-e-ijad rahega
pabandi-e-aqdar mein aazad rahega
lekin ye tera jaur-o-sitam yaad rahega
dil apne hi hathon se jo barbaad rahega
afsana-e-nakaami-e-fariyaad rahega
dil sust to lab tishna-e-fariyaad rahega
ab farhat-e-nashad to nashad rahega
dil mahw-e-chaman hai to nigahon mein chaman hai
paband-e-qafas ho ke bhi aazad rahega
ghairon ka karam ras na aaega na aaya
aalam dil-e-barbaad ka barbaad rahega
'farhat' tere naghmon ki wo shohrat hai jahan mein
wallah tera rang-e-suKHan yaad rahega
Ghazal
Mera dil-e-nashad jo nashad rahega
Farhat Kanpuri