melon mein phailte gae paude kapas ke
muhtaj kitne log hain phir bhi libas ke
kya kya na Dubte rahe auron ki zat mein
kya kya muzahire na kiye hum ne pyas ke
har aadmi ko rang se hai in dinon gharaz
qisse purane ho gae phulon ki bas ke
'KHawar' kahin hawa ka na hai dhup ka guzar
unche hain sab makan mere aas pas ke
Ghazal
Melon mein phailte gae paude kapas ke
Khaqan Khavar