mehrbani bhi hai itab bhi hai
kuchh tasalli kuchh iztirab bhi hai
hai to aghyar se KHitab magar
meri har baat ka jawab bhi hai
wan barabar hai KHalwat-o-jalwat
us ki be-pardagi hijab bhi hai
ho qanaat to hai jahan dariya
hirs ghaalib ho to sarab bhi hai
wo tabaKHtur kahan tapak kahan
garm-o-raushan to aaftab bhi hai
Ghazal
Mehrbani bhi hai itab bhi hai
Ismail Merathi

