اردو हिंदी
Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai | Shaahi Shayari
mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai

Ghazal

Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai

Meer Mohammadi Bedar

;

mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai
shoala aab-e-zindagani-e-charagh-e-murda hai

murgh-e-dil teri nigah ka ho chuka ab to shikar
ja kahan sakta hai yan se said-e-nawak-KHurda hai

hai bahaar-e-rang-o-bu-e-taza ru-e-KHasm-e-jaan
salim aafat-e-hawadis se gul-e-pazhmurda hai

jaan-o-iman din-o-dil jo tha bisat apna diya
aur kya chahe hai tu mujh se jo ab aazurda hai

ai shah-e-iqlim-e-KHubi ta-sar-e-darwaza aa
nazr ko 'bedar' teri jaan-ba-kaf-awarda hai