اردو हिंदी
Mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata | Shaahi Shayari
mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata

Ghazal

Mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata

Hashim Raza Jalalpuri

;

mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata
hum parindon mein qabila nahin dekha jata

lashkar-e-KHwab kisi taur utar aankhon mein
raat bhar nind ka rasta nahin dekha jata

surma bap ne talwar bhi girwi rakh di
hath mein bachchon ke kasa nahin dekha jata

tum mere yar ho kaise main hara dun tum ko
mujh se dushman ko bhi paspa nahin dekha jata

is zamane ko faqat maut nazar aati hai
Dubne wale ka jazba nahin dekha jata

ai azizo! mujhe miTTi ke hawale kar do
mujh se ab jism ka malba nahin dekha jata

jab se dariya pe hua pyas ka qabza 'hashim'
lab-e-dariya koi pyasa nahin dekha jata