اردو हिंदी
Mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta

Ghazal

Mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta

Mohammad Ali Sahil

;

mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta
kisi ka muskurana ab mujhe achchha nahin lagta

kabhi ninden churana jin ki mujh ko achchha lagta tha
nazar un ka churana ab mujhe achchha nahin lagta

jinhen mujh par yaqin hai meri chahat par bharosa hai
bharam un ka miTana ab mujhe achchha nahin lagta

nasheman mere dil ka jab se tinka tinka bikhra hai
koi bhi aashiyana ab mujhe achchha nahin lagta

mohabbat karne walon ne jo chhoDe hain zamane mein
nishan un ke miTana ab mujhe achchha nahin lagta

teri duniya se shayad bhar chuka hai mera dil 'sahil'
yahan ka aab-o-dana ab mujhe achchha nahin lagta