maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale
jamal-e-yar mein tahlil ho ja dekhne wale
nazar aati tujhe har KHak ke zarre mein ek duniya
nigah-e-ghaur se tu ne na dekha dekhne wale
tujhe nazdik se bhi ek din wo dekh hi lenge
tasawwur mein tera husn-e-dil-ara dekhne wale
KHabar bhi hai tujhe kuchh ye tamasha-gah-e-alam hai
tamasha KHud na ban jaana tamasha dekhne wale
harim-e-tur ka 'simab' jab uThne laga parda
nida ye ghaib se aai sambhal ja dekhne wale

Ghazal
Maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale
Seemab Batalvi