maza shabab ka jab hai ki ba-KHuda bhi rahe
buton ke sath rahe aur parsa bhi rahe
mazaq-e-husn-parasti qubul hai mujh ko
agar nigah haqiqat se aashna bhi rahe
nizam-e-dahr juda kar raha hai donon ko
main chahta hun kali bhi rahe saba bhi rahe
kahan se jaan bache jab wo shoKH-e-sehr-nigah
jafa-shiar bhi ho mail-e-wafa bhi rahe
mujhe mila hai wo rangin-ada muqaddar se
jo dil mein jalwa-numa bhi rahe chhupa bhi rahe
chaman-parast wahi hai ki jis ka zauq-e-salim
gulon ke sae mein kanTon se khelta bhi rahe
wo rind-e-pak-tabiat hai aap ka 'shair'
sharab bhi na piye aur jhumta bhi rahe
Ghazal
Maza shabab ka jab hai ki ba-KHuda bhi rahe
Shaer Fatahpuri