maut si KHamoshi jab un labon pe tari ki
tab kahin nibha pai rasm raazdari ki
hum abhi nidamat ki qaid se nahin nikle
kaTte hain roz o shab fasl be-qarari ki
bhul hi nahin sakte ai gham-e-jahan tu ne
jis tarah pazirai umr bhar hamari ki
kam zara na hone di ek lafz ki hurmat
ek ahd ki sari umr pasdari ki
sab ana-parasti ki masnadon pe hain faez
sar kare kaDi manzil kaun KHaksari ki
pur-KHatar rifaqat wo jo mafad ke tabe
soch be-samar apni zat ke pujari ki
ek dard ki lazzat barqarar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki KHun se aabyari ki
Ghazal
Maut si KHamoshi jab un labon pe tari ki
Ikram Mujeeb