maut se zist ki takmil nahin ho sakti
raushni KHak mein tahlil nahin ho sakti
mom ho jaun ki patthar se KHuda ho jaun
kisi surat meri takmil nahin ho sakti
kis liye sans ki zanjir se bandha hai mujhe
aur kuchh surat-e-tazlil nahin ho sakti
kis liye zinda hun main kis ke liye zinda hun
jurm aisa hai ki tawil nahin ho sakti
in andheron mein lahu-rang saweron ki 'najib'
kya firozan koi qindil nahin ho sakti

Ghazal
Maut se zist ki takmil nahin ho sakti
Najeeb Ahmad