اردو हिंदी
Maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin | Shaahi Shayari
maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin

Ghazal

Maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin

Mela Ram Wafa

;

maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin
jaan se jaana sahl sahi jaan ka jaana sahl nahin

hamdardi hamdardi mein jaan hi le kar Talte hain
in zalim ham-dardon se jaan chhuDana sahl nahin

barq bhi girti hai aksar KHirman bhi jalte hain magar
apne hathon KHirman ko aag lagana sahl nahin

gham ke khane walon ko kha jaata hai gham aaKHir
gham ka khana mushkil hai gham ka khana sahl nahin

dawa-e-majzubiyat kya mujh se kare mansur 'wafa'
bak uThna hai sahl magar bakte jaana sahl nahin