maut behtar hai aise jine se
dil mein kuchh bhi nahin qarine se
KHushk aankhen kahan jhalakti hain
dil mein utre hain kuchh safine se
hum ne kya chhu liya tasawwur mein
khankhanate hain aabgine se
hum ko fursat nahin ghaDi-bhar ki
pairahan zindagi ka sine se
ek lamha ka tajraba behtar
roz-o-shab sal aur mahine se
ek main to hun muntashir ghar mein
warna har chiz hai qarine se
aur andhera baDha do aangan mein
raushni aa rahi hai zine se
Ghazal
Maut behtar hai aise jine se
Sauf Sadiq