maut aati nahin qarine ki
ye saza mil rahi hai jine ki
mai se parhez shaiKH tauba karo
ek yahi chiz to hai pine ki
tumhein kahta hai aaina KHud-bin
baaten sunte ho is kamine ki
ho gaya jab se be-naqab koi
shama raushan na phir kisi ne ki
chashm-e-tar aabru tu paida kar
yun nahin bujhti aag sine ki
ahl-e-duniya se kya badi ka gila
ai 'tapish' tu ne kis se ki neki

Ghazal
Maut aati nahin qarine ki
Shaikh Abdul Lateef Tapish