اردو हिंदी
Mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo | Shaahi Shayari
mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo

Ghazal

Mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo

Ehsan Danish

;

mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo
ye kya chali chaman mein hawa dekhte chalo

ambar har taraf hain andheron ke ye durust
shayad nahin ho aab-e-baqa dekhte chalo

taskin-e-sumbul-o-gul-o-lala ke waste
kya de rahi hai baad-e-saba dekhte chalo

jitne the jaan-nisar-e-chaman baad-e-subh-e-nau
kuchh ajr bhi kisi ko mila dekhte chalo

asnam-e-zar ke panw mein Dale hue jabin
kitne hain bandagan-e-KHuda dekhte chalo

kis kis ka e'timad-e-wafa ho gaya shikast
kis kis ko husn se hai gila dekhte chalo

'danish' ko zid hai dair o haram bhi sahi magar
kis ko mila hai in ka pata dekhte chalo