mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki
ai mere dil tujhe kya ho gaya wahshat nahin ki
koi ilzam koi tanz koi ruswai
din bahut ho gae yaron ne inayat nahin ki
lafz ke shauq mein aisa bhi maqam aaya hai
juz kisi sher ki aamad koi hasrat nahin ki
jis ke nashshe mein koi hijr guzar aae hain
wo ghaDi wasl ki hum ne kabhi ruKHsat nahin ki
ab tujhe kaise bataen ki teri yaadon mein
kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki
sare mear wafaon ke nibhae hum ne
us ko chhoDa to bahut soch ke, ujlat nahin ki
ishq dariya bhi samundar bhi kinara bhi halim
Dubne wale ko dekha hai to hairat nahin ki
Ghazal
Mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki
Haleem Qureshi