اردو हिंदी
Mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala | Shaahi Shayari
mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

Ghazal

Mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

Kashfi Lucknavi

;

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala
phul dekhe jis ne kanTon mein wo diwana chala

ek hi manzil pe har rahi ko jaana tha magar
zoam-e-baatil mein chala jo bhi judagana chala

us ke har ek gam par thi kaamrani sath sath
kargah-e-dahr mein jo sarfaroshana chala

waizan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh
miT gaya wo in ki baaton par jo diwana chala

mai-kade mein ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen
har KHalish jati rahi jab daur-e-paimana chala

aafrin sad aafrin ye himmat zauq-e-talab
shama ke jalte hi jal marne ko parwana chala

koi asrar mashiyyat ho na paya aashkar
be-KHabar aaya tha 'kashfi' aur begana chala