maujud hain wo bhi baalin par ab maut ka Talna mushkil hai
ik-tarfa kashakash naza mein hai dam ka bhi nikalna mushkil hai
anjaane mein jo be-rah chale wo rah pe aa sakta hai magar
be-rah chale jo danista bas us ka sambhalna mushkil hai
zahir na sahi dar-parda sahi dushman bhi hifazat karte hain
kanTe hon nigahban jis gul ke us gul ka masalna mushkil hai
hain ishq ki rahen pechida manzil pe pahunchna sahl nahin
raste mein agar dil baiTh gaya phir us ka sambhalna mushkil hai
aaghaz-e-mohabbat mein 'ajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-rawan
anjam ab in KHushk aankhon se ek ashk nikalna mushkil hai
Ghazal
Maujud hain wo bhi baalin par ab maut ka Talna mushkil hai
Ajiz Matvi