اردو हिंदी
Maujon ka aks hai KHat-e-jam-e-sharab mein | Shaahi Shayari
maujon ka aks hai KHat-e-jam-e-sharab mein

Ghazal

Maujon ka aks hai KHat-e-jam-e-sharab mein

Asghar Gondvi

;

maujon ka aks hai KHat-e-jam-e-sharab mein
ya KHun uchhal raha hai rag-e-mahtab mein

wo maut ki kahte hain jis ko sukun sab
wo ain zindagi hai jo hai iztirab mein

dozaKH bhi ek jalwa-e-fidaus-e-husn hai
jo us se be-KHabar hai wahi hai azab mein

us din bhi meri ruh thi mahw-e-nashat-e-did
musa ulajh gae the sawal o jawab mein

main iztirab-e-shauq kahun ya jamal-e-dost
ek barq hai jo kaundh rahi hai naqab mein