mauj-e-bala mein roz koi Dubta rahe
sahil har ek bar magar dekhta rahe
yaron ki kashtiyan rahin sahil se be-niyaz
tufan se be-niyaz agar naKHuda rahe
KHairaat mein kabhi nahin mangin mohabbaten
har-chand mere dost mujhe aazma rahe
jin ko nahin thi daulat-e-ehsas tak nasib
takrim-e-be-nazar mein wahi dewta rahe
main aise husn-e-zan ko KHuda manta nahin
aahon ke ehtijaj se jo mawara rahe
mana ki har tarah hai taghayyur se be-niyaz
lekin wo haal-e-gham se to kuchh aashna rahe
'kaifi' zamir-baKHta logon se kab talak
KHairaat-e-ehtiram koi mangta rahe
Ghazal
Mauj-e-bala mein roz koi Dubta rahe
Iqbal Kaifi