masraf ke baghair jal raha hun
main sune makan ka diya hun
manzil hai na koi jada phir bhi
aashob-e-safar mein mubtala hun
mahmil bhi nahin koi nazar mein
sahra ki bhi KHak chhanta hun
mansur na dawa-e-anal-haq
suli pe magar laTak raha hun
ai ahl-e-karam nahin main sail
raste pe yunhi khaDa hua hun
ab shikwa-e-sang-o-KHisht kaisa
jab teri gali mein aa gaya hun
is shahr mein waz-e-kaj-kulahi
main waqai dar-KHur-e-saza hun
Ghazal
Masraf ke baghair jal raha hun
Gopal Mittal