marhala ab ke digar hai aaine ke samne
mo'tabar na-mo'tabar hai aaine ke samne
aaj shayad aaine ka jhuT pakDa jaega
aaj wo sahab-nazar hai aaine ke samne
dhund mein Dube hoe sare manazir dekh kar
aaine ki aankh tar hai aaine ke samne
jhurriyan chehre ki ye bachpan ki wo masumiyat
ek lamhe ka safar hai aaine ke samne
har nafas be-chehragi ka karb kab tak jhelta
ab nai samt-e-safar hai aaine ke samne
kaun hai jo apne chehre se nahin Darta 'nadim'
kaun be-KHauf-o-KHatar hai aaine ke samne

Ghazal
Marhala ab ke digar hai aaine ke samne
Nadeem Fazli