mare dil bich naqsh-e-naznin hai
magar ye dil nahin yaro nagin hai
kamar par teri us ka dil hua mahw
tera aashiq bahut barik-bin hai
jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak
pari hai hur hai ruh-ul-amin hai
ghulam us ke hain sare ab sirijan
nagar mein husn ke kursi-nashin hai
nahin ab jag mein waisa aur pitam
sabi KHush-suratan sun naznin hai
mujhe hai moshgafi mein mahaarat
jo nit dil mahw KHatt-e-ambarin hai
nazar kar lutf ki ai shah-e-KHuban
tera 'faez' ghulam-e-kam-tarin hai
Ghazal
Mare dil bich naqsh-e-naznin hai
Sadruddin Mohammad Faez